ghazal men husn ka us ke bayan rakhna hai
kamal a.ankhon men goya zaban rakhna hai
jahaz-ran hunar o hausla na le ja saath
hua ke ruḳh pe agar badban rakhna hai
bhara to hai mira tarkash magar ye dil hai gudaz
so umr bhar mujhe ḳhali kaman rakhna hai
diye bujhati rahi dil bujha sake to bujha.e
hava ke samne ye imtihan rakhna hai
bahut hanse mire is faisle pe saya-nashin
ki sar pe dhuup ko ab sa.eban rakhna hai
ho intizar-e-baharan jahan na ranj-e-ḳhizan
‘kamal’ aisa bayaban makan rakhna hai
Leave a Reply