shaḳh-e-buland-e-bam se ik din utar ke dekh
ambar-e-barg-o-bar-e-ḳhizan men bikhar ke dekh
miTTi ke sadgi men alag sa jamal hai
rangon ki nik.haton ki qaba taar karke dekh
imkan ki vus.aton ke ufuq zaar khul gae
par tolne lage hain parinde sahar ke dekh
zulmat ki kashtiyon ko bhanvar hai ye raushni
dar khul rahe hain danish-o-ilm-o-ḳhabar ke dekh
kya jaane gham ki aanch ka partav kahan paḌe
angḌai le rahe hain hayule sharar ke dekh
sangin hadson ki hikayat tavil hai
koh-e-giran ki baat na kar zaḳhm sar ke dekh
apni basaraton ko jasarat ki aanch de
manzar isi nazar se jahan-e-digar ke dekh
pindar-e-sar-nigun ka junun mo’atabar nahin
bujhte hue charagh ki lau tez karke dekh
‘akbar’ nida-e-shab ko nava-e-sahar samajh
lau de rahe hain hausle ahl-e-nazar ke dekh
Leave a Reply