Husn-E-Tadbir Bhi Tha KHubi-E-Taqdir Bhi Tha

husn-e-tadbīr bhī thā ḳhūbī-e-taqdīr bhī thā

tū ne dekhā hī nahīñ maiñ tirī tasvīr bhī thā

umr-bhar ahl-e-mohabbat ko pata hī na chalā

vaqt us zaḳhm-e-jigar ke liye zanjīr bhī thā

kyā huā ashk ki jo zīnat-e-mizhgāñ ho kar

hāsil-e-dard bhī thā dard kī tafsīr bhī thā

thī zabāñ band tirī bazm meñ lekin kuchh yuuñ

dil dhaḌaktā thā ki ik ālam-e-taqrīr bhī thā

fikr farmāte jo arbāb-e-hunar ai ‘nashtar’

aap ke daur meñ ‘ġhālib’ hī nahīñ ‘mīr’ bhī thā

Leave a Comment