
Rais Amrohvi
bata kya kya tujhe ai shauq-e-hairan yaad aata hai
vo jan-e-arzu vo rahat-e-jan yaad aata hai
pareshan-ḳhatiri had se guzarti hai to vahshat ko
kisi ka alam-e-zulf-e-pareshan yaad aata hai
guzarta hai kabhi jab chaudhvin ka chand badli se
mahin anchal men un ka ru-e-taban yaad aata hai
andheri raat men jugnu chamakte hain to rah rah kar
dupaTTe ke sitaron ka charaghan yaad aata hai
ufuq par phailti hain surḳhiyan jab sub.h-e-taza ki
koi siina pas-e-chak-e-gareban yaad aata hai
kali ko phuul bante dekh kar ahd-e-baharan men
koi chehra bahut nau-ḳhez-o-ḳhandan yaad aata hai
ghazal jab chheḌ deta hai koi ahd-e-javani ki
kisi ka jism-e-mauzun-o-ghazal-ḳhvan yaad aata hai
vo tufan karvaTen leta tha jo ik jism-e-ra.ana men
vo tufan ham-kinari ka vo tufan yaad aata hai
vo arman jo kisi ke shoḳh honTon par machalta tha
vo arman bosa-e-lab ka vo arman yaad aata hai
vufur-e-shauq se ḳhud haath apne chuum leta huun
vufur-e-shauq men jab un ka daman yaad aata hai
bahut kuchh yaad aata hai ‘ra.is’ un ki juda.i men
magar jaise koi ḳhvab-e-pareshan yaad aata hai

Leave a Reply