• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jalti Hui Ruton Ke KHaridar Kaun Hain

Jalti Hui Ruton Ke KHaridar Kaun Hain

jalti hui ruton ke ḳharidar kaun hain

ai paikar-e-ghazal tire bimar kaun hain

ḳhushbu ki sa.aton ke talabgar kaun hain

is zulf-e-mushk-bu ke giraftar kaun hain

kab tak chhupe rahenge azal ḳhamushi ke bhed

shahr-e-sada ke mahram-e-asrar kaun hain

kirnon ki rahguzar pe uḌti hai dhuul si

jo us taraf ga.e hain vo ji-dar kaun hain

sinon men le ke valvala-e-zindagi ki aag

asr-e-ravan se bar-sar-e-paikar kaun hain

sadiyon se muntazir hain sulagti masafaten

asa.ish-e-junun ke talabgar kaun hain

sarmast kar ga.i jinhen apne lahu ki lai

vo arsa-e-nabard ke fankar kaun hain

men to gharib-e-shahr-e-suḳhan huun magar ‘jalil’

farman-rava-e-kishvar-e-iz.har kaun hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

muneer-niyazi

Khayal Jis Ka Tha Mujhe Khayal Mein Mila Mujhe

Ibtida Hun Ki Intiha Hun Main

haidar-ali-aatish

Chaman Mein Rahne de Kaun Aashiyan Nahin Malum

poet

Ahl-E-Dil Jo Bhi Baat Kahte Hain

ahsan-yusuf-zai

Kaghaz Ki Naw Hun Jise Tinka dubo Sake

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet