na kuchh takrar tum ko hai na kuchh shikva hamara hai
ye dil kya chiiz hai ab jaan tak dena gavara hai
dam-e-raftar utha fitne qayamat ka ishara hai
tira munh dekhna khurshed-e-mahshar ko nazara hai
vo mah-ru ai falak phirta hai har shab meri ankhon men
tasavvur ne mire gham-khane men ik chand taara hai
sar-e-balin na paaya tujh ko ai iisa to ghabra kar
shab-e-furqat men izrail ko ham ne pukara hai
falak qatil hai tegh-e-mah-e-nau ke zakhm hain tan par
shafaq hai khuun hamara chandni ne ham ko maara hai
baja hai tujh se ai but khalq ko daava mohabbat ka
khuda vahid hai par har shakhs kahta hai hamara hai
main huun ai ham-safir-e-bulbul-e-zar is gulistan ka
jo theke men hai sayyadon ke gulchin ka ijara hai
na puchho haal kuchh dil ki lagi ka mujh jale tan ki
jahannum jis ko kahte hain vo is ka ik sharara hai
siyah-kari hi main ne umr bhar ki tira-bakhti se
tira hal-e-siyah kya meri qismat ka sitara hai
mujhe bhi paar utarna hai dubo kar kashti-e-tan ko
kinara gor ka gar bahr-e-ulfat ka kinara hai
gira huun kya judai men ba-zor-e-na-tavani se
na taqat aah karne ki na uf karne ka yaara hai
nikalta hai mira dam majma-e-yaran hai balin par
na munh se baat hoti hai na ankhon se ishara hai
farogh-e-khal ru-e-atishin par ho nahin mumkin
kahin khurshed ke bhi samne chamka sitara hai
banaya dana-e-angur ka kantha hai masti men
chaman men bahar-e-mai-khvari kiya jab istikhara hai
kisi surat miri bakhshish nahin ai ‘arsh’ hai mumkin
payambar ka vasila abr-e-rahmat ka sahara hai
Leave a Reply