kaash aisi bhi koi saaat ho
ru-ba-ru aap hi ki surat ho
sochti huun to dil dhadakta hai
tum mire jism ki hararat ho
kitne sajdon ka qarz hai mujh par
sar jhuka luun agar ijazat ho
niind ankhon men is liye aai
un ke aane ki kab basharat ho
mujh ko bheja gaya hai ye kah kar
tum mire ishq ki amanat ho
ham bhi kar len namaz ki niyyat
husn vaale tiri imamat ho
tark duniya karungi jab main bhi
samne mere jam-e-vahdat ho
hijr ki shab men vasl ka lamha
ab to har din yahi karamat ho
yuun pighalne se kuchh nahin hasil
‘shama’ jalna tiri mohabbat ho
Leave a Reply