yahi to meri vafa ka sila diya hai mujhe
ki tum ne bhuul samajh kar bhula diya hai mujhe
mire khayal ki lau ko bujhane valon ne
charagh-e-rah samajh kar jala diya hai mujhe
kabhi to sar men samaya junun ki surat
kabhi ghubar ki surat uda diya hai mujhe
tumhare qurb ki khvahish ne daman-e-shab par
tumhare vasl ka muzhda suna diya hai mujhe
main aaj dekh rahi huun ki tere kuche men
tiri talab ne fasana bana diya hai mujhe
udasiyon men ati sham-e-gham ki chaukhat par
khayal-e-yar ne kitna rula diya hai mujhe
jahan bhi sham-e-mohabbat jalai hai main ne
hava-e-gham ne vahin par bujha diya hai mujhe
Leave a Reply