pas-e-vahshat hai to yad-e-ruḳh-e-laila bhi na kar
ishq ko qaidi-e-zanjir-e-tamanna bhi na kar
mauj-e-ḳhuddar agar hai to su-e-ghair na dekh
kisi tufan kisi sahil ka bharosa bhi na kar
zinat-e-dahr ik ara.ish-e-batil hi sahi
nigah-e-shauq ko mahrum-e-tamasha bhi na kar
shirk hai shirk ye ai va.iz-e-ashufta-ḳhayal
gham-e-uqba ko sharik-e-gham-e-duniya bhi na kar
kaif-angez nahin bada-e-imroz na ho
dil ko hasrat-kash-e-paimana-e-farda bhi na kar
mahram-e-raz-e-mohabbat hai agar dil tera
to ḳhuda ke liye is raaz ko rusva bhi na kar
hairat-e-shauq hi ban jaa.e na ghammaz ‘ravish’
to is andaz se nadan use dekha bhi na kar
Leave a Reply