kahin vo chehra-e-zeba nazar nahin aaya
gaya vo shaḳhs to phir lauT kar nahin aaya
kahun to kis se kahun aa ke ab sar-e-manzil
safar tamam hua ham-safar nahin aaya
main vo musafir-e-dasht-e-gham-e-mohabbat huun
jo ghar pahunch ke bhi soche ki ghar nahin aaya
saba ne faash kiya raz-e-bu-e-gesu-e-yar
ye jurm ahl-e-tamanna ke sar nahin aaya
kabhi koi tire va.adon ka tazkira chheḌe
to kya kahun ki koi nama-bar nahin aaya
phir ek ḳhvab-e-vafa bhar raha hai ankhon men
ye rang hijr ki shab jaag kar nahin aaya
mire lahu ko miri ḳhak-e-naguzir ko dekh
yunhi saliqa-e-arz-e-hunar nahin aaya
na jaane zabt ke hathon ‘sahar’ pe kya guzri
bahut dinon se vo ashufta-sar nahin aaya
Leave a Reply