aisa nahin ki munh men hamare zaban nahin
hain kam-suḳhan zarur pa aajiz bayan nahin
har-chand jante hain use ham qarib se
par kya karen ki pa-e-suḳhan darmiyan nahin
achchha to ek pal ke liye hi uTha ke dekh
ai asman jo bar-e-amanat-garan nahin
ḳhud ham men tab-e-did nahin hai ye aur baat
rahta hai vo nigah ke aage kahan nahin
‘farruḳh’ kahin na sun ke kare vo bhi an-suni
kahte hain us se is liye dard-e-nihan nahin
Leave a Reply