jagti shab khuda-hafiz
ja chuke sab khuda-hafiz
dasht mujh ko bulata hai
zindagi ab khuda-hafiz
rasta rokte kyuun ho
kah diya jab khuda-hafiz
kha chuka dana-e-gandum
mehrban rab khuda-hafiz
akhiri saans jab nikli
likh diya tab khuda-hafiz
ab chalo raat hai ‘babar’
shaam ki chhab khuda-hafiz
Leave a Reply