• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hasraton Mein Ab Ye Ek Hasrat Hamare Dil Mein Hai

Hasraton Mein Ab Ye Ek Hasrat Hamare Dil Mein Hai

hasraton men ab ye ik hasrat hamare dil men hai

itna kah diije ki be-chara baḌi mushkil men hai

ek muusa the ki in ka zikr har mahfil men hai

aur ik main huun ki ab tak mere dil ki dil men hai

aaj kyuun had se siva uljhan hamare dil men hai

kya nasib-e-dushmanan vo bhi kisi mushkil men hai

hai koi aisa jo saaqi se kahe mere liye

ye bhi ik allah ka banda tiri mahfil men hai

ya ilahi ḳhair yuun hamdardiyan hoti hain aaj

jaise mere dil ka saara dard unhin ke dil men hai

dekhna ye hai un ankhon men sama jaata hai kaun

yuun to hone ko zamana bhar tiri mahfil men hai

dekhiye kis ke muqaddar men likhi hai ye bahar

aaj to ik haar phulon ka kaf-e-qatil men hai

dekhiye to apne vahshi ki tasavvur men ḳhushi

ghar men tanha hai magar jaise bhari mahfil men hai

hai mohabbat koi bimari to bimari qubul

haa.e ‘manzar’ kis maze ka dard apne dil men hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aasman Khol Diya Pairon Mein Rahen Rakh Din

KHizan Ki Rut Hai Janam-Din Hai Aur Dhuan Aur Phul

Sufi

Ai Khush Aan Roze Ki Man Andar Madina Ja Kunam

Aisi Hoti Hain Baz Taqdiren

afzal-gauhar-rao

Aai Thi Us Taraf Jo Hawa Kaun Le Gaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet