ham se to rah-o-rasm hai aghyar ki tarah
duniya pe mehrban hain gham-khvar ki tarah
kam-maegi na puchh miri bazm-e-ghair men
uthti hai har nigah kharidar ki tarah
main tajiran-e-ishq ke baare men kya kahun
in ka junun hai garmi-e-bazar ki tarah
khud-sakhta buton ko main ab tod-tad kar
pujunga bas usi ko parastar ki tarah
zauq-e-nazar ko aap samajhte hain gar gunah
nadim khada huun main bhi gunahgar ki tarah
dekhi hai main ne shakh se patton ki rukhsati
jaane na dunga ab tujhe har baar ki tarah
zad-e-safar ki fikr na manzil ka ho khayal
rah-e-talab men aao talabgar ki tarah
chaha hai tum ko yuun ki tumhen bhi khabar na ho
socha hai tum ko an-kahe ashar ki tarah
kahne ko koi band-o-salasil nahin magar
sab hain fasil-e-jan men giraftar ki tarah
‘adil’ rukh-e-nigar nahin dil ka aaina
iqrar-e-khas hota hai inkar ki tarah
Leave a Reply