nazar taj pe hai kya tamasha ka hajat
nahin sabz khat aage champa ka hajat
tabiban karen munj kuun baali suun daaru
ki baali hain mohan hai baala ka hajat
hamin neshakar namne hilje hain band men
nahin hor hamna kuun jaala ka hajat
khumari nayan the khile phuul jiiv men
nahin mo ko duuna o baala ka hajat
mira dil hai zar-baft ka karkhana
nahin munj kuun bazar vaala ka hajat
tu kahniyan kitaban ke jiiv men likhya huun
muamma hai niin khol kahna ka hajat
anguthi sulaiman ki tuj haat men hai
sikandar ke darpan ujala ka hajat
mira dil kundan husn ka khaan hai tu
nahin hai sunari taqaza ka hajat
haman muddaa muddai na bujhe kuch
nako bahs karnin hai aada ka hajat
‘maani’ tira zar-gari kui na bujhen
ki is ilm men niin hai daana ka hajat
Leave a Reply