numu ke faiz se rang-e-chaman nikhar sa gaya
magar bahar men dil shorishon se Dar sa gaya
jafa-e-dost bahut sazgar aa.i hai
ḳharab ho ki ye dil aur kuchh sanvar sa gaya
na jaane bad-e-saba kya payam laa.i thi
ki phuul hans to diya phir bhi munh utar sa gaya
ba-faiz-e-shauq ye din dekhna nasib hua
ki sar se dard ka tufan guzar guzar sa gaya
tilism-e-bazm fusun-e-jamal sehr-e-shabab
nigah-e-shauq ka daman gulon se bhar sa gaya
vo shaam ho ga.i mansub un ki yaad ke naam
charagh jal sa gaya dagh-e-dil ubhar sa gaya
vo ek shoḳh ka andaz-e-guftugu ‘taban’
jigar men tanz ka nashtar utar utar sa gaya
Leave a Reply