unhon ne kya na kiya aur kya nahin karte
hazar kuchh ho magar ik vafa nahin karte
bura huun main jo kisi ki bura.iyon men nahin
bhale ho tum jo kisi ka bhala nahin karte
vo a.enge miri taqrib-e-marg men tauba
kabhi jo rasm-e-ayadat ada nahin karte
jahan ga.e yahi dekha ki log marte hain
yahi suna ki vo va.ada vafa nahin karte
kisi ke kam hain kisi ke bahut magar zahid
gunah karne ko kya parsa nahin karte
jo in hasinon pe marte hain jite-ji ‘muztar’
vo intizar-e-payam-e-qaza nahin karte
Leave a Reply