chara-farma.i-e-dil rasm-e-butan hai to sahi
abhi kuchh mehr-o-mohabbat ka nishan hai to sahi
naqsh-e-pa tera hai gar tu nahin ai hashr-ḳhiram
ik na ik ba.is-e-ashob-e-jahan hai to sahi
aap se aap to paida nahin ye lala-o-gul
koi aḳhir chaman-ara-e-jahan hai to sahi
ye bhi kahte hain ki hai arz-e-tamanna be-sud
ye bhi kahte hain tire munh men zaban hai to sahi
jalva-e-dost ko samjha nahin ye baat hai aur
jalva-e-dost muhit-e-dil-o-jan hai to sahi
chahiye aur tujhe kya pa.e-hangama-e-husn
tere qurban ye sab kaun-o-makan hai to sahi
ham ne maana ki nahin ‘hali’ o ‘majruh’ ‘nihal’
‘mir’ o ‘ghalib’ ka ye ejaz-e-bayan hai to sahi
Leave a Reply