bijliyan pi ke jo uḌ jaate hain
vo qayamat se bhi laḌ jaate hain
qalb-e-insan ki javan hiddat se
aag par aable paḌ jaate hain
ishq jab vaqt ko jhinjhoḌta hai
hadse kaanp ke jhaḌ jaate hain
maqtal-e-zist se mahshar ki taraf
raqs karte hue dhaḌ jaate hain
aah ki zalzala-andazi se
arsh ke paa.e ukhaḌ jaate hain
ham vo insan hain jo bandon ke liye
kibriya se bhi bigaḌ jaate hain
Leave a Reply