tumhare saa.e se ukta gaya huun
main apni dhuup vapas chahta huun
kaho kuchh to zaban se baat kya hai
main kya phir se akela ho gaya huun
magar ye sab mujhe kahna nahin tha
na jaane kyon main ye sab kah raha huun
sabab kuchh bhi nahin afsurdagi ka
main bas ḳhush rahte rahte thak gaya huun
gila karta nahin ab mausamon se
main in peḌon ke jaisa ho gaya huun
Leave a Reply