Chandni Chup Rahi Raushni Chup Rahi

chāñdnī chup rahī raushnī chup rahī

merī har baat par zindagī chup rahī

ham to ghuT ghuT ke ik roz mar jā.eñge

is ghuTan meñ agar aañkh bhī chup rahī

dard merā bayāñ un se kab ho sakā

sher ḳhāmosh the shā.irī chup rahī

ik yaqīñ thā palaT aa.egā vo abhī

maiñ to bas us kī rah dekhtī chup rahī

mujh ko maqtal meñ jis roz bhejā gayā

sochtī huuñ maiñ kyuuñ us ghaḌī chup rahī

maiñ ne ‘shāhīn’ jīvan guzārā hai yuuñ

niiñd meñ baat kī jāgtī chup rahī

Leave a Comment