shor kaisa hai mubtala mujh men
kaun rahta hai dusra mujh men
main kisi jabr ke hisar men huun
ik safar hai ruka hua mujh men
jaane kya tha ki raat us ka ḳhayal
rasta DhunDhta raha mujh men
TimTimate rahe gali ke charagh
raqs karti rahi hava mujh men
kab se apni talash hai mujh ko
tu ne kya kya chhupa diya mujh men
kitna sarsabz ho gaya huun main
kaun sa zaḳhm tha hara mujh men
is qadar ghaur se na dekh mujhe
aks paḌta hai chand ka mujh men
‘qais’ vo shaḳhs aam sa tha magar
kitne manzar saja gaya mujh men
Leave a Reply