kab thahrega dard ai dil kab raat basar hogi
sunte the vo aenge sunte the sahar hogi
kab jaan lahu hogi kab ashk guhar hoga
kis din tiri shunvai ai dida-e-tar hogi
kab mahkegi fasl-e-gul kab bahkega mai-khana
kab subh-e-sukhan hogi kab sham-e-nazar hogi
vaaiz hai na zahid hai naseh hai na qatil hai
ab shahr men yaron ki kis tarah basar hogi
kab tak abhi rah dekhen ai qamat-e-janana
kab hashr muayyan hai tujh ko to khabar hogi
Leave a Reply