kis naam se pukar rahi hai saba use
chashm-e-haya samajhti hai jan-e-haya use
phulon ke kis qabile men us ka shumar hai
kya baat kah ga.i hai chaman ki hava use
devi vo sha.iri ki mire man men bas ga.i
mauzu-e-sher banna kuchh achchha laga use
apni qaba-e-jan hai so vo taar taar hai
vo gul-numa hai pesh karun kya rida use
raushan rahe vo chehra hamesha kanval-sifat
yarab lage hamari nazar ki dua use
Leave a Reply