• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wo Dost Tha to Usi Ko Adu Bhi Hona Tha

Wo Dost Tha to Usi Ko Adu Bhi Hona Tha

vo dost tha to usi ko adu bhi hona tha

lahu pahan ke mujhe surḳh-ru bhi hona tha

sunahri haath men taaza lahu ki fasl na di

ki apne haq ke liye jang-ju bhi hona tha

bagula ban ke samundar men ḳhaak uḌana thi

ki lahar lahar mujhe tund-ḳhu bhi hona tha

mire hi harf dikhate the meri shakl mujhe

ye ishtihar mire ru-ba-ru bhi hona tha

kashish thi phuul si is men to la-muhala mujhe

asir-e-rang giraftar-e-bu bhi hona tha

saza to milna thi mujh ko barahna lafzon ki

zaban ke saath labon ko rafu bhi hona tha

safar ka bojh uThane se peshtar ‘sajid’

mizaj-dan-e-rah-e-justuju bhi hona tha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Jahan-E-Husn-O-Nazar Se Kinara Karna Hai

Bahaar Aai Gul-Afshaniyon Ke Din Aae

Hum Bin Gham-E-Yar Bhi Jiye Hain

poet

Baghair Yar Gawara Nahin Kabab Sharab

Bad-Guman Mujhse Na Ai Fasl-E-Bahaaran Hona

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet