
Abdullah Javed
duniya ne jab daraya to darne men lag gaya
dil phir bhi pyaar aap se karne men lag gaya
shayad kahin se aap ki khushbu pahunch gai
mahaul jaan o dil ka sanvarne men lag gaya
ik naqsh mauj-e-ab se barham hua to kya
ik naqsh zer-e-ab ubharne men lag gaya
‘javed’ nazd-e-ab-e-ravan kah gaya faqir
dariya men jo gaya vo guzarne men lag gaya

Leave a Reply