manzil kahan hai duur talak raste hain yaar
kis justuju men ḳhvab ke ye qafile hain yaar
pal pal badalta rahta hai tahzib ka mizaj
lamhon ki dastaras men ajab silsile hain yaar
hai sabiqa hazar marahil se aur phir
is zindagi ke ba.ad bhi kuchh marhale hain yaar
tu hi bata tujhe main rakhun kis shumar men
achchhe-bure sabhi se mire rabte hain yaar
haan tujh se bevafa.i ki ummid to nahin
par sach kahun to dil men ka.i vahime hain yaar
ḳhvahish ka ehtiram hai jazbon ki aanch bhi
nindon ka ehtimam hai aur ratjage hain yaar
nazmen kahan hain falsafe manzum hain tamam
ghazlen kahan hain ishq ke sab marsiye hain yaar
ahbab rishte-dar sabhi mumbai men hain
lekin dilon ke beach baḌe fasle hain yaar
Leave a Reply