na dhuup dhuup rahe aur na saaya saaya to
junun-e-shauq agar phir vahin pe laaya to
qadam baḌha to luun abadiyon ki samt magar
mujhe vo dhundhta tanhaiyon men aaya to
suluk ḳhud se harifana kaun chahega
agarche tu ne mujhe zindagi nibhaya to
main jis ki oT men mausam ki maar sahta huun
kahin khandar bhi vo barish ne ab ke dhaya to
magar gai na mahak mujh se mere maazi ki
nadi ki dhaar men sau baar main nahaya to
sharif log the aadi the band kamron ke
laraz uThe kisi ne qahqaha lagaya to
hai rasm-o-rah ki surat abhi ghanimat hai
nadi ne dekh mujhe haath phir hilaya to
Leave a Reply