safar ke baad bhi mujh ko safar men rahna hai
nazar se girna bhi goya khabar men rahna hai
abhi se os ko kirnon se pi rahe ho tum
tumhen to khvab sa ankhon ke ghar men rahna hai
hava to aap ki qismat men hona likkha tha
magar main aag huun mujh ko shajar men rahna hai
nikal ke khud se jo khud hi men duub jaata hai
main vo safina huun jis ko bhanvar men rahna hai
tumhare baad koi rasta nahin milta
to tai hua ki udasi ke ghar men rahna hai
jala ke kaun mujhe ab chale kisi ki taraf
bujhe diye ko to ‘adil’ khandar men rahna hai
Leave a Reply