ham ne ḳhayal-e-saḳhti-e-jada nahin kiya
tark-e-safar ka koi irada nahin kiya
ushshaq-e-ahd-e-nau ne sar-e-rahguzar-e-shauq
gard-e-safar ko tan ka labada nahin kiya
ham ne bhi lauT aane men taḳhir ki bahut
us ne bhi intizar ziyada nahin kiya
ham hain gham-e-firaq ke hurmat-shanas log
gham ko supurd-e-saghar-o-bada nahin kiya
tere siva bhi koi dar-e-jan pe aa sake
itna bhi ham ne dil ko kushada nahin kiya
Leave a Reply