‘salim’ dasht-e-tamanna men kaun hai kis ka
yahan to ishq bhi tanha hai husn bhi tanha
bane vo baat ki ahl-e-vafa ke din phir jaa.en
mizaj-e-yar ki surat badal chale duniya
uḌa ke le hi ga.iin bu-e-pairahan! tera
subuk-ḳhiram havaon pe koi bas na chala
mizaj-e-ishq ho manus-e-zindagi itna
ki misl-e-ḳhalvat-e-mahbub ho bhari duniya
misal-e-sub.h miri ḳhalvaton men kaun aaya
vo raushni hai ki palken jhapak rahi hai faza
hamin pe jab na tavajjoh hui to ham ko kya
bala se aap kisi ke liye hon qahr-o-bala
vo tu hai yaad tiri hai ki meri hasrat hai
ye kaun hai mire siine men siskiyan leta
kuḌhe to apni jagah ḳhush rahe to apni jagah
‘salim’ ham ne kisi se na kuchh kaha na suna
Leave a Reply