Jo Dasht Mein Mila Tha Mujhe Itna Yaad Hai

jo dasht meñ milā thā mujhe itnā yaad hai

merā hī naqsh-e-pā thā mujhe itnā yaad hai

phir kyā huā kabhī mirī barbādiyoñ se pūchh

terī taraf chalā thā mujhe itnā yaad hai

itnā lahū lahū to nahīñ thā badan mirā

haañ zaḳhm ik harā thā mujhe itnā yaad hai

vo bhiiḌ meñ khaḌā hai jo patthar liye hue

kal tak mirā ḳhudā thā mujhe itnā yaad hai

maiñ jaise muddatoñ se isī rahguzar meñ huuñ

pal bhar kā fāslā thā mujhe itnā yaad hai

chehra kisī kā ab bhī tasavvur meñ hai ‘nafas’

ik ajnabī milā thā mujhe itnā yaad hai

Leave a Comment