jo saqiya tu ne pi ke ham ko diya hai jam-e-sharab aadha
tu apne danton se kaaT kar de hamare munh men kabab aadha
vo pur-gunah huun ki rah ga.e sab usi men din kaT gaya vo saara
hanuz mahshar ke mahkame men hua tha mera hisab aadha
kahan ga.i ab vo lan-tarani na taab jalve ki laa.e ashiq
hunuz khola tha bahr-e-didar us ne band-e-naqab aadha
jaza-e-kamil jo chahta hai to zab.h kar Daal jald qatil
na chhoḌna mujh ko nim-bismil ki pa.ega tu savab aadha
dimagh dekho mire sanam ka gila jo karta huun main sitam ka
to dete hain saari baat ka vo mujhe ba-diqqat javab aadha
safed-o-surḳh hai aisi rangat ki jab bana hoga us ka putla
milaya hovega us men sane.a ne maida aadha shahab aadha
dupaTTa ab-e-ravan ka sar ka jo us ki mahram se samjhe ye ham
ki bahr-e-husn-e-sanam ka ham ko diya dikha.i habab aadha
ishara hai saaf ai ‘qalaq’ ye ki aao sahba-kashi ho baham
jo us ne bheji hai apni jhuTi sharab aadhi kabab aadha
Leave a Reply