dikha kar aa.ine men apna chehra kho ga.e hain
ye duniya bhi tamasha thi tamasha ho ga.e hain
musafir hain safar men bud-o-bash apni yahi hai
jahan par koi saaya mil gaya hai so ga.e hain
ba-zahir ek sahra hain magar aisa nahin hai
hamari ḳhaak ko kitne hi dariya ro ga.e hain
vo mausam aur manzar jin se ham tum ḳhush-nazar the
vo mausam aur manzar darmiyan se kho ga.e hain
qadam ahista rakkho kah rahe hain ḳhushk patte
daraḳhton par thake-hare parinde so ga.e hain
nahin ehsas tum ko ra.egani ka hamari
suhulat se tumhen shayad mayassar ho ga.e hain
rifaqat men ye kaisa saneha guzra hai ham par
badan bedar hain lekin muqaddar so ga.e hain
kabhi sairab jo lamhe kiye the ḳhun-e-dil se
vahi lamhe ‘razi’ ankhon men kanTe bo ga.e hain
Leave a Reply