ye soch banna hai kya tujh ko kya bana hua hai
ḳhuda ka kya hai ki vo to ḳhuda bana hua hai
daba saka na sada us ki teri bazm ka shor
ḳhamosh rah ke bhi koi sada bana hua hai
main chahta huun masiha ke dil men bhi rakh duun
vo dard mere liye jo dava bana hua hai
ye kar-e-ishq hai rakh apne inhimak se kaam
na dekh bigḌa hua kya hai kya bana hua hai
basi hui hai mire ishq se tiri ḳhalvat
tira jamal mira aa.ina bana hua hai
tumhari bazm men hairat se hai koi tasvir
koi adab se hai sakit diya bana hua hai
jo chahiye hai hamen vo hamen mayassar hai
qadam uThe hue hain rasta bana hua hai
Leave a Reply