kis ki khoi hui hansi thi main
kis ke honton pe aa gai thi main
kin zamanon pe munkashif hui huun
kin zamanon ki raushni thi main
main kisi shakhs ki udasi thi
sard lahje men bolti thi main
din dhale lautte parindon ko
ghar ki khidki se dekhti thi main
kaash ik baar dekh lete tum
raste men padi hui thi main
ab jo afsurdagi ki chadar huun
mausam-e-gul ki odhni thi main
khud ko daryaft karne nikli huun
yaani khud se kahin khafi thi main
gungunata tha shab ke pichhle pahar
jaane kis dil ki ragni thi main
phir december tha sard raten thiin
shahr sota tha jagti thi main
us ne jab haath haath par rakkha
surkh phulon se bhar gai thi main
aaj dekha tha aaina main ne
aur phir der tak hansi thi main
jaane kya baat yaad aai mujhe
hanste hanste jo ro padi thi main
main ne ik shaam pa liya tha use
us se ik raat kho gai thi main
janta kaun mujh ko mere siva
ghar ke andar bhi ajnabi thi main
meri parten nahin khulin ab tak
devtaon ki shairi thi main
khud se takra gai thi ‘janan’ kahin
apne raste men aa gai thi main
Leave a Reply