jahan pe teri kami bhi na ho sake mahsus
talash hi rahi ankhon ko aise manzar ki
hamen to khud nahin maalum kya kisi se kahen
ki tujh se milne ki koshish na kyuun bichhad kar ki
magar ye zauq-e-parastish ki ab bhi tishna hai
jabin ko chuum chuke ek ek patthar ki
kahan pe dafn vo parchhaiyan karen yaaro
jo taab la na sakin raushni ke khanjar ki
har ek gul ko hai ishq-e-sumum ka sauda
har ek shakh yahan mo’taqid hai sarsar ki
jidhar andhera hai tanhai hai udasi hai
safar ki ham ne vahi samt kyuun muqarrar ki
Leave a Reply