• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hath Se Kuchh Na Tere Ai Mah-E-Kanan Hoga

Hath Se Kuchh Na Tere Ai Mah-E-Kanan Hoga

poet

haath se kuchh na tire ai mah-e-kanan hoga

haath jo hoga to miri maut ka saman hoga

saqiya hijr men mai-khana bayaban hoga

daur-e-saghar bhi ram-e-chashm-e-ghazalan hoga

ai junun phir mujhe khush aane lagi uryani

ab na daman hi rahega na gareban hoga

phir chalenge tira qad dekh ke gulzaron men

phir har ik sarv-o-saman sarv-e-charaghan hoga

ghar men dil phir mira ghabrane laga aap se aap

ai junun phir ye makan khana-e-zindan hoga

phir khush aati hai mire dil ko shab-e-mah ki sair

ishq phir chand se mukhde ka do-chandan hoga

in dinon phir tujhe ‘goya’ jo hai chupki si lagi

phir irada taraf-e-mulk-e-khamoshan hoga

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

ujDe Dil-O-Dimagh Ko Aabaad Kar Sakun

Sufi

Jo Neki Kar Ke Phir dariya Mein Isko dal Jata Hai

poet

Junun Mein Hum Rah-E-KHauf-E-KHatar Se Guzre Hain

Sitara Sham Se Nikla Hua Hai

Sochna Ruh Mein kanTe Se Bichhae Rakhna

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet