saghar uTha ke zohd ko rad ham ne kar diya
phir zindagi ke jazr ko mad ham ne kar diya
vaqt apna zar-ḳharid tha hangam-e-mai-kashi
lamhe ko tuul de ke abad ham ne kar diya
dil pand-e-va.izan se hua hai asar-pazir
us ko ḳharab-e-sohbat-e-bad ham ne kar diya
tasbih se subu ko badal kar ḳhuda ko aaj
bala-tar az-shumar-o-adad ham ne kar diya
baada tha ya urus-e-firasat thi jaam men
jo kah diya bahak ke sanad ham ne kar diya
misron men gesuon ki fasahat ka bhar ke rang
apni har ik ghazal ko sanad ham ne kar diya
tashbih de ke qamat-e-janan ko sarv se
uncha har ek sarv ka qad ham ne kar diya
Leave a Reply