meri tabahiyon pe koi muskura diya
goya kisi ne kuchh to mujhe aasra diya
saare jahan pe mujh ko nahin dastaras magar
saare jahan ko kis ne mira dil bana diya
ai jan-e-jan ki yaad tiri aa ke rah ga.i
jaise kisi ne naghma kahin gunguna diya
lahron ki lai pe giit tira gaanv aa bhi ja
ankhon ne teri yaad men dariya baha diya
pahli si vo hikayat-e-sham-o-sahar nahin
shayad kisi ne ‘daur’ tujhe kuchh bhula diya
Leave a Reply