ye jagah ahl-e-junun ab nahin rahne vaali
fursat-e-ishq mayassar kahan pahle vaali
koi dariya ho kahin jo mujhe sairab kare
ek hasrat hai jo puuri nahin hone vaali
vaqt koshish kare main chahun magar yaad tiri
dhundli ho sakti hai dil se nahin miTne vaali
ab mire ḳhvabon ki baari hai yahi lagta hai
niind to chhin chuki kab ki mire hisse vaali
in dinon main bhi huun kuchh kar-e-jahan men masruf
baat tujh men bhi nahin rah ga.i pahle vaali
Leave a Reply