• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Safar Bhi Dur Ka Hai Rah Aashna Bhi Hain

Safar Bhi Dur Ka Hai Rah Aashna Bhi Hain

safar bhi duur ka hai raah ashna bhi hain

chala udhar ko huun jis samt ki hava bhi nahin

guzar raha huun qadam rakh ke apni ankhon par

ga.e dinon ki taraf muḌ ke dekhta bhi nahin

mira vajud miri zindagi ki had na sahi

kabhi jo tai hi na ho main vo fasla bhi nahin

faza men phail chali meri baat ki ḳhushbu

abhi to main ne havaon se kuchh kaha bhi nahin

samajh raha huun ‘muzaffar’ use sharik-e-safar

jo mere saath qadam do qadam chala bhi nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Hazar Jaan Se Sahab Nisar Hum Bhi Hain

Muddat Ke Baad Munh Se Lagi Hai Jo chhuT Kar

faiz-ahmad-faiz

Ba-Nok-E-Shamshir

poet

Kisi Ke Main Libas-E-Ariyat Ko Kya Samajhta Hun

bichhaD Kar Us Ka Dil Lag Bhi Gaya to Kya Lagega

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet