rahe na ek bhi bedad-gar sitam baaqi
ruke na haath abhi tak hai dam men dam baaqi
utha dui ka jo parda hamari ankhon se
to kaabe men bhi raha bas vahi sanam baaqi
bula lo balin pe hasrat na dil men mere rahe
abhi talak to hai tan men hamare dam baaqi
lahad pe aenge aur phuul bhi uthaenge
ye ranj hai ki na us vaqt honge ham baaqi
ye chaar din ke tamashe hain aah duniya ke
raha jahan men sikandar na aur na jam baaqi
tum aao taar se marqad pe ham qadam chumen
faqat yahi hai tamanna tiri qasam baaqi
‘rasa’ ye ranj uthaya firaq men tere
rahe jahan men na akhir ko aah ham baaqi
Leave a Reply