tere liye main baazi lagaungi jaan ki
ye intiha hai tire bharam ke guman ki
mujh pe laga ke bandishen duniya-jahan ki
khud sair kar rahe ho miyan asman ki
dhanda kiye hain aap hi barud ka miyan
aur baat kar rahe hain ji amn-o-aman ki
bad-khu-o-bad-zaban kaho be-adab kaho
tarif men ai dosto har ‘haq’-bayan ki
Leave a Reply