• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kitni Sadiyan Na-Rasi Ki Intiha Mein Kho Gain

Kitni Sadiyan Na-Rasi Ki Intiha Mein Kho Gain

poet

kitni sadiyan na-rasi ki intiha men kho ga.iin

be-jahat naslon ki avazen ḳhala men kho ga.iin

rang-o-bu ka shauq ashob-e-hava men le gaya

titliyan ghar se nikal kar ibtila men kho ga.iin

kaun pas-e-manzar men ujḌe paikaron ko dekhta

shahar ki nazren libas-e-ḳhushnuma men kho ga.iin

muntazir chaukhaT pe ta.abiron ke shahzade rahe

ḳhvab ki shahzadiyan qasr-e-dua men kho ga.iin

saanp ne un ke nasheman men basera kar liya

peḌ se chiḌiyon ki mahkaren faza men kho ga.iin

koi kya bab-e-aman afat-zadon par kholta

dastaken gulzar tufan ki sada men kho ga.iin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ahmad-ali-barqi-azmi

Tha Jo Mere Zauq Ka Saman Aadha Rah Gaya

Hunar Diya Bhi Nahin Le Liya anguTha Bhi

firaq-gorakhpuri

Saghar Kaf-E-dast Mein Surahi Ba-Baghal

Lutf Duniya to Faqat Dida-E-Namnak Mein Hai

Jism Siyahi Banaunga

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet