dekhun to kahan tak vo talattuf nahin karta
aare se agar chire to main uf nahin karta
tum dete ho taklif mujhe hoti hai rahat
sach janiye main is men takalluf nahin karta
sab baten unhin ki hain ye sach boliyo qasid
kuchh apni taraf se to tasarruf nahin karta
sau khauf ki ho jaae magar rind-e-nazar-baz
dil jalva-gah-e-lanshaf-o-shuf nahin karta
shokhi se kisi tarah se chain us ko nahin hai
aata hai magar aa ke tavaqquf nahin karta
us shokh-e-sitamgar se pada hai mujhe paala
jo qatl kiye par bhi taassuf nahin karta
jo kuchh hai ana men vo tapakta hai ana se
kuchh aap se main zikr-e-tasavvuf nahin karta
taskin ho kya vaade se mashuq hai akhir
har chand suna hai ki takhalluf nahin karta
kya haal tumhara hai hamen bhi to batao
be-vajh koi ‘shefta’ uf uf nahin karta
Leave a Reply