kisi bhi vahm ko ḳhud par savar mat karna
ḳhayal-e-yar ko gard-o-ghubar mat karna
ḳhilaf-e-vaqi.a kuchh bhi ho sun suna lena
yahi tariqa magar iḳhtiyar mat karna
tumhari aankh men nafrat ho dusron ke liye
tum apni zaat se itna bhi pyaar mat karna
nasha chaḌha hai to phir ye utar bhi ja.ega
jo hai surur to is ko ḳhumar mat karna
koi bhi rut ho vo apna jamal rakhti hai
ḳhizan jo aa.e to is ko bahar mat karna
ghamon ke saath to jiina hai umr bhar ke liye
ḳhushi ke saath to un ko shumar mat karna
kisi ko jaan ke anjan ban ke milna ‘sad’
kisi ke saath bhi ye zulm yaar mat karna
Leave a Reply