zakhm khana hi jab muqaddar ho
phir koi phuul ho ki patthar ho
main huun khvab-e-giran ke narghe men
raat guzre to maarka sar ho
phir ghanimon se be-khabar hai sipah
phir aqab se numud lashkar ho
kya ajab hai ki khud hi maara jaun
aur ilzam bhi mire sar ho
hain zamin par jo gard-bad se ham
ye bhi shayad falak ka chakkar ho
us ko tabir ham karen kis se
vo jo hadd-e-bayan se bahar ho
dekhna hi jo shart thahri hai
phir to ankhon men koi manzar ho
Leave a Reply