ik fana ke ghaat utra ek pagal ho gaya
yaani mansuba zamane ka mukammal ho gaya
jism ke barfab men ankhen chamakti hain abhi
kaun kahta hai ki us ka hausla shal ho gaya
zehn par be-samtiyon ki barishen itni huiin
ye ilaqa to ghane raston ka jangal ho gaya
is kalid-e-ism-e-na-maalum se kaise khule
dil ka darvaza ki andar se muqaffal ho gaya
shoala-zar-e-gul se guzre to sar-e-aghaz hi
ik sharar ankhon se utra khuun men hal ho gaya
shahr-e-ainda ka dariya hai giraft-e-reg men
bas ki jo hona hai us ka faisla kal ho gaya
mausam-e-takhir-e-gul aata hai kis ke naam par
kaun hai jis ka lahu is khaak men hal ho gaya
is qadar khvabon ko masla pa-e-ahan-posh ne
shauq ka aaiin bil-akhir moattal ho gaya
Leave a Reply