phulon ki talab men thoda sa azar nahin to kuchh bhi nahin
khud aa ke jo uljhe daman se vo khaar nahin to kuchh bhi nahin
ho din ki fazaon ka sargam ya bhigti raton ka aalam
kitna hi suhana ho mausam dildar nahin to kuchh bhi nahin
kyuun ahl-e-sitam ka dil toden phir shahr men chal kar sar phoden
sahra-e-junun ko ab chhoden divar nahin to kuchh bhi nahin
har mauj-e-bala ik sahil hai girdab hi apna hasil hai
ye kashti-e-dil vo qatil hai manjhdar nahin to kuchh bhi nahin
kya mithe bol sunate ho kya giit anokhe gaate ho
kya naghmon par itrate ho jhankar nahin to kuchh bhi nahin
ye naam o numud ki khvahish kya ye ilm o fan ki numaish kya
apna to aqida hai ye ‘sahar’ meyar nahin to kuchh bhi nahin
Leave a Reply